24 Rajab ul Murajjab* *Yaume Fateh Jung e Khaibar – किस्मत न्यूज

किस्मत न्यूज

Latest Online Breaking News

24 Rajab ul Murajjab* *Yaume Fateh Jung e Khaibar

😊 Please Share This News 😊

*Ba Dast e Sher e Khuda Wasi e Rasool Nafs e Rasool Biradar e Rasool Janasheen e Rasool Damad e Rasool Abu Turab Ameer ul Momineen Maula e Kaynat Hazrat Maula Imaam Ali .rd..

 

 

 

*Tamaam Aalam e Islaam Ko Bhut Bhut Mubarak 

 

 

 

*24 Rajab ul Murajjab 7 Hijri Mutabik 27 November 628 Esvi Baroz Itwaar Ko Khaibar Fatah Hua Tha, Kai Dino Tak Rozana Alag Alag Islami Commanders Lashkar Lekar Jate The Magar Fatah Nahi Milti Thi, To Nabi e Kareem Hazrat Muhammad ﷺ Ne Farmaya Kal Me Alam Usko Dunga Jo Allah Aur Uske Rasool Se Muhabbat Karta Hain Aur Allah Aur Uska Rasool Usse Muhabbat Karte Hain, Wo Jeet Kar Hi Wapas Aayega, Sahaba Kehte Hain Ke Ham Raat Bhar Yehi Sochte Rahe Ke Kon Wo Khushnaseeb Hoga Jise Huzoor ﷺ Jhanda Ata Farmayenge, Jab Subah Hui To Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ali Ibne Abu Talib Kahan Hain ? Sahaba e Kiram Ne Arz Kiya :- Ya Rasool Allah ﷺ Unki Aankho Me Taklif Hai, Huzoor ﷺ Ne Farmaya Unko Bulao, Maula Ali Alaihis Salam Ko Bulaya Gaya, Huzoor ﷺ Ne Unki Aankhon Me Luaab e Dahan Dala Aur Unke Haq Me Dua Ki To Aankhen Is Tarah Thik Ho Gayi Jese Kabhi Taklif Hi Nahi Thi, Phir Huzoor ﷺ Ne Maula Ali Ko Jhanda Ata Farmaya, Uske Bad Maula Ali Gaye Aapne Marhab Naami Mashoor Jungju Pehalwan Ko Wasil e Jahannum Kiya, Fir Jab Ladte Hue Aapki Dhaal Toot Gayi To Aapne Khaibar Ke Qile (Fort) Ke Darwaze Ko Ek Hath Se Ukhaad Diya Aur Use Dhaal Ki Tarah Istemaal Farmaya Aur Is Tarah Fatah Hui, Sahaba e Kiram Kehte Hain Ke Baad Me Ham 40 Log Bhi Us Darwaze Ko Palatne Ki Koshish Karte Rahe Lekin Palat Sake Jisko Maula Ali Ne Ek Hath Se Udhakar Puri Jung Me Dhaal Ki Tarah Istemaal Farmaya Aur Ek Jagah Phenk Diya.* rak*lam*bar*

व्हाट्सप्प आइकान को दबा कर इस खबर को शेयर जरूर करें 

स्वतंत्र और सच्ची पत्रकारिता के लिए ज़रूरी है कि वो कॉरपोरेट और राजनैतिक नियंत्रण से मुक्त हो। ऐसा तभी संभव है जब जनता आगे आए और सहयोग करे

Donate Now

[responsive-slider id=1466]

You may have missed 7869552754